Blogger Par AdSense Approval kaise le aaj sikhte hain step by step in hindi jisse aap use kr skenge aur paisa kama sakenge.Internet par bahot sare Videos aur Lekh already maujood hain ,lekin main jo aapko tariqa batane wala hoon usse aapka 100℅ Adsense Approved ho jayega
7 Steps For Adsense Approval for BlogSpot Blogger in Hindi
Contents
- 1 7 Steps For Adsense Approval for BlogSpot Blogger in Hindi
- 1.1 Step 1: Domain Registration
- 1.2 Step 2 : Blogger Pages Banaye
- 1.3 Step 3: Blogger Post Content
- 1.4 Step 3 : Author Mention
- 1.5 Step 4 : Visitors kitne hone Chahiye Blog Par
- 1.6 Step 5 : Illegal Content ka bilkul bhi prayog na kre {Bahot Important}
- 1.7 Step 6 : Copyright Material Na Daale
- 1.8 Step 7 : Age Factor
Step 1: Domain Registration
Sabse pehla aur most important step hain Blogger main Adsense approval pane ke liye aapke paas apna domain hona bahot jaruri hain , aap Godaddy , Bigrock ya Blue host se Domain purchase kar sakte hain .
Dosto Domain hamesha aapke “Niche” ke hisaab se purchase kariyega , matlab aap dekh hi sakte hain mera Domain ” www.techtipsmanish.com ” hain aur meri Blogger website ki Channel ka naam bhi wahi hain aur yaha tak ki mere blogs technology ke baarein main hote hain , matlab “Tech” bhi saamil hain mere Domain Name main.In Cheezo ka dhyan rakhte huye hi domain purchase kijiyega. Blogger main Adsense Approval jald pane ke liye domain kharid lijiye turant , arey abhi nahi pehle poora article padh lijiye …
Step 2 : Blogger Pages Banaye
1) Home Page
2) About Us Page
3) Privacy Policy Page
4) Disclaimer Page
5) Contact Us Page
- Home Page main aapke saare blog posts dikhayi denge
- About Us page aapke website ke information ke barein main hoga matlab aapka blog website kya material dega
- Privacy Policy Page aur Disclaimer aapki Website ki sabhi terms and Conditions ke barein main hoga jo aapke blog reader ke liye hain jismein aapke copyright material ka use na kr skne se leke aapki website cookies, bahot saari details ke baarein main hoga aur aap Blogger Par AdSense Approval le payenge
Step 3: Blogger Post Content
Aapne Domain kharid liya acchi baat hain .Dosto bada aasan lagta hoga aapko bas blog hi to likhna hain aur main 20-25 blog likh dunga to Google Adsense Approval mil jayega , magar aisa nahi hain , aap jo post likh rahe ho usko sabse best likhna hain ,matlab Jo post aap likh rahe ho usmein us Topic ki saari detail honi chahiye ,aur jab usey padhe unhe badi aasani se samajh aa jaye aap kya samjhana chahte ho aur jab woh aapka blog post padhle usey aapke dusre blog post ka intezaar rahe.
Blog post content ko satik likhe aur har ek point ka zikar kare. Dosto sirf 10 Blogs likho detail main aur bahot acchi tarah se Title , Heading , SubHeading , Minor Heading , Normal text ka use poore blog main likhe aur bahot acche se use kre ,jaise Post Ka Title hamesha “Heading ” main rakhe , Post ke Steps “Subheading ” , Aur Steps ke Ander jo Steps aatein hain jaise ~ 1-2-3 ya phir a) – b) – c) main istemaal karein aur Blogger Par AdSense Approval le ne ke liye yeh step foloow kre
Step 3 : Author Mention
Aapko apne barein main batana hoga ki aapka naam kya Hain ,aapki education , aapki hobbies , interests , aapki logo ko kya sikhane wale hain ,yeh bahot jaroori step hain aapke Blogger Par AdSense Approval dilwane ke liye, bhulke bhi isey mention karna na bhule
Step 4 : Visitors kitne hone Chahiye Blog Par
Google hamesha se hi quality par kaam krta aaya hain aur woh sirf quality hi chahta hain , visitors se google ko itna pharak nahi padta , aap sirf blog likhte jaye aur quality dalte jaye visitors bhi aa hi jayenge ek din