Amazon Fire Tv Stick & Chrome Cast yeh device aapko Online Content ko apne Smart Television par dekhne ke liye sabse behtar device he jinka adhiktar use ho rha he. Aap bhi inhime se kisi ek ka use kr skte he.
Besides jab baat krte hain Jio Tv ki to yeh abhi Amazon Tv Firestick par directly available nahi hain, to main aapke liye iska perfect solution leke aaya hoon , to jyada time waste na krke chaliye shuru krte hain
How To Install Jio TV App On Amazon Fire TV Stick?
To chaliye hum samjhenge kaise step by step aapko Jio Tv App ko Amazon Fire Tv Stick par install karenge:
#1 Amazon Fire TV Stick ko Internet se Connect kijiye:
Sabse pehle TV aur Fire TV Stick ko on kardijiye aur , aapko jaana hain Amazon fire tv stick ke control panel ke settings section main , usme aapko WiFi Connection pr click karna hain. Aap chahe to apne Mobile ke hot spot se ya personal home connection se connect karna hain.Yeh Step successful ho jaane ke baad aapko Home page pe vaapis aajana hain..
#2 Fire TV Stick par Silk Browser Install Kare
Internet se connect karliya besides aapko Search option main jaake Silk Browser Type karna hain aur ise download krke install kr lena hain aur accept krke open krlena hain.
#3 ES File Explorer File Manager Download & Install Kare
Again aapko search bar main jaake ES file explorer file manager download karelna hain aur install krlena hain, jaise hi aap isey open karenge aapko yeh Download New Update ka option dikhayega jo aapko nahi krna hain, simply aapko usey cancel krke Home Page par aajana hain.
यह भी पढ़े:- जिओ टीवी को लैपटॉप पर कैसे देखे
#4 Install kijiye Jio TV Android TV
Ab aapko Silk browser main jaana hain aur Silk browser main jake ” www.google.com” search karna hain search bar ke through . And again Google ke main jake aapko type krna hain Jio TV Android TV Search bar me jake aur Jo 1st option aapko milega usey hi click krna hain aur downalod krna hain , jisme aapko 4 option dikhayega ,jisme aapko ” ES DOWNLOADER” select krke download krna hain aur download aur install krne ke baad aapko done krdena hain aur home page par aajana hain..
JIO TV Android TV Direct Download Kare : Click Here
Note: Aapko Version: 1.0.4 App download Karni he
#5 Jio TV App Ke Setting Option Open Kar Login Kare
Dosto ab aapko Amazon Fire Tv Stick ke option main jaana hain. Home Button press krke aur Settings Option main jaana hain. Settings main aapko Applications option pe click krna hain. Applications main jake Manage Installed Applications main jaana hain. Managed Installed applications main aapko Jio Tv select krna hoga. Aur Finally Jiotv app main jake aapko apna khud ka username aur password daalke login krna hain.
E.g Settings=>Applications=>Managed Installed Applications=>Jio TV=>Login With Username & password ke saath aur apka kaam ho gaya
Note: Login karte time apko khudka username and password use krna hai, “Amit Jain” wala nahi.