Blogging Naye funde 2019

Blogging Naye Funde main aapse baat karunga kaise aap bahot zyada soche bina ek successful blogger ban paoge aur infact 100% guarantee ke saath, aap ek ek point ko aise follow kriye jaise yeh points hi ab zindagi hain aapki

Totally New Rules To Become 100% Successful as Blogger

Blogging Main bahot zyada mat sochiye

Aapne blogging shuru kiya hain , lekin aapko pata nahi kya likhe kaise likhe , kya topic choose kare aur kaise grow karre, sabhi same cheez

moreover main aapko bilkul alag batane wala hoo jisse aap 100% successful blogger banenge  life main

Shuru kiya hain blogging karna aapne , bas aap dekhe aapko kya acche se aata hain ya kis cheez ki knowledge hain , bas kud padiye , zyada sochoge to kuch nahi kr paoge , jo acche se aata ho usi topic pe likhna shuru kr dijiye 

yeh mat sochiye aap ko blog ko bahot zyada sazana hain , seo krna hain ,tags lagane hain ya backlinks banani hain, aap bas likhte rahiye .

Further aap likhte likhte khud dekhenge aap ke likhne ka tqriqa sudharta jayega,lekin yaad rahe jo bhi aapko aata hain full imaadari se acchi tarah se likhna hain 

Bloggin naye funde ke saath paisa kharch kijiye saahab thoda

Agar aapke paas paisa hain to aapko jarur kharch karna chahiye , jaise aapko e domain le lena hain aur khud ki hosting purchase kr leni hain ,

bas aur in dono se connect krke blog likhte jaiye , kyuki google dusre saare adambar se zyada aapke content pe dhyan deta hain 

agar aap  acche se likhenge jisse aapko agar thoda bahot bhi traffic aa rha hain 10-20 visits hi sahi aur woh log aapke page aur posts par tme bita rhe hain aap bas samajh lijiye aapka kaam ho gaya 

Dusro Bloggers ko Bahot Zyada Follow mat kijiye

Aapne bahot accha content likha hain , acche se samjhaya hain bas itna hi kaafi hain ,because yeh hi aapko help krega

most importantly dusro ki tips bat utni hi grahan kijiye jitni dimaag main ghuse , infact bahot zyada unko sunenge to dimaag hang ho jayega aur aap ka dhyan bhatak jaega aur aap content ya acchi post likhna bhul jayenga

Ek accha Article kya hota hain

Moreover Ek accha article woh hota hain jaha aap apne thoughts ko dilse , achhi tarah vyakt kr sake aur usey aapke padhne walo ko aasani se samjha sake , itni cheeze follow kijiye aur aap successful hoke rahenge

Daily Likhne Ki Aadat Daa lijiye

Most Importantly Aap bas likhte rahiye yeh mat sochiye traffic nahi aa rha , main paise kaise kama paunga , aur log to accha khasa kama rhe hain ,

dekho yaar aapko nahi pata kab likhte likhte aapka google ka algorithm hit karega aur aap raato raat top par aajaoge sirf aur sirf aapke acche content ki wajah se 

Aapko Kis Topic Par Likhna hain

Agar aapki koi hobby hain , jaise khana khana , movie dekhna , cricket khelna aur kucch bhi jo aapko accha lagta hain uskle baarein main daily alag alag title deke detail main likhiye in brief

aap jaante nahi anjane main aap kitna kucch accha content google ko de rhe hoge aur aap successful bhi jaoge bas mere bataye gaye blogging naye funde ka sahi use kijiye

Seo Kab Blogging Naye Funde ke anusaar

Seo aapko saath saath main consequently sikhte rehna hain lekin uska use aapko tab karna hain jab 100% confirm ho ki jo aap kar rhe ho usme koi galti na ho ,

infact kyuki iska ulta asar bhi pad sakta hain , phir aap demotivate ho jaoge au blogging chod doge 

as a result  keh rha hu zyada mat sochiye atleast aapko jo jo aata hain uske baarein main  likhe ,

daily news dekhiye aur jo acha lage uske baarenmain vistaar se likh dijiye and as a result  dekhiye kaise blogging naye funde kaam krenge aapke liye

Social media pe share karna jaruri hain kya?

Infact Social media bhi Bilkul equally important hain  aap jo likh rhe ho usko agar aap share nahi karoge to aapki audience kaise badhegi , koi bhi ek social media ya platform pakad lijiye aur uspe jamke share kijiye ,

waha se jo audience mile usko boliye aapke blog ko follow kare aur dekhiye chamatkaar blogging naye funde ka

In Conclusion 

Jab hamara janam hota hain to hamein pata nahi hota hamein saari cheezen kaise karni hain leki jaise jaise bade hote hain sab sikhte jaate hain , isi tarah se jaise jaise aap blogging ke filed main aagey badhte hain

After that aapko dheere dheere knowledge badhti jaati hain aur aap aur behtar hote jaate ho as a blogger aur baad sab cheze traffic , paisa sab bhar bhar ke aata hain…