Site icon Tech Tips Manish

Mobile Phone Ko Factory Data Reset Kab Karna Chahiye?

Hello friends Chai Pilo, arey nahi nahi aaj ka topic hain, Mobile Phone Ko Factory Data Reset kab karna chahiye aur aisa Karne ke kya fayde hai.Furthemore, jaisa ki hum sab jante hain Mobile Phone ko chalate waqt hamein dher saari problems face karni padti hain.To chaliye shuru karte hai.

Factory Data Reset : When Why To Do?

yeh jaane ke liye maine aapko kucch answers diye hain niche jise aapko dhyan se samajhna hoga, aur uska palan karna hoga ,phir viswaas rakhiye koi dikkat nahi aayegi aapko smart phone use karne main

When Virus Attack Your Smart Phone

Aksar hum dekhte hain jab hamare phone main virus aa jaata hain, hamara phone pe web pages khul jaate hain automatically , ya phir phone zyada garam hone lagta hain. tab hamein factory data reset karna jaruri hota hain

When Phone Hangs Simultaneously

Jab call ke doran ya phir jab aap phone use karte hain, tab baar baar phone hang hone lage tab samajh lijiye phone ko factory data reset karne ka time aa gaya hain

When you give Phone For Repair

Jab bhi aapke phone main koi problem aa jaaye jaise screen main ya phir phone on na ho raha ho , tab service centre main dene se pehle aapko phone factory data reset kar lena chahiye.

Note Kijiye : Factory Data Reset karne Se Pehle aapko hamesha phone ke data ka backup le lena hain SD Card main , jisme aapke kimti phone numbers, images se leke video kuch bhi ho sakta hain. Aap hamesha backup lene ke baad hi factory data reset kare.

When You get a new Software update

Jab bhi aapke phone , main naya software version aaya ho to yeh bahot jaruri ho jaata hain, update ko download aur install karne ke baad aapko hamesha phone ko factory data reset karna chahiye.

Yaha Padhe : Mobile Phone Ke Kya Fayde Hain

Conclusion:

Waise to aaj ke yug main hum smart phones ka bahot zyada use kar rhe hain, aur phones aate bhi bahot mehenge hain, to hamein apne phones ko sahi tarah se sanchalit karne ke liye, uprokt diye gaye sabhi points ko achhi tarah se yaad rakhna hain aur follow karna hain.

Exit mobile version