Site icon Tech Tips Manish

Top 5 Websites to Check Quality Score Of Any Website

http://techtipsmanish.com/blogger-adsense-approval-hindi-2019/

http://techtipsmanish.com/blogger-adsense-approval-hindi-2019/

Top 5 Websites to Check Quality Score Of Any Website -Yug Chal rha hain internet ka aur 10 main se 9 banda aaj janta hain ki Online se bhi earning ho sakti hain. 10/10 ke paas mobile hain , 5/10 ka apna Youtube Channel hain , 2/10 main logo ne khudka website bana rkha hain.yeh aankda thoda aagey piche ho sakta hain lekin zyada difference nahi hoga.

Main aapka Dost Manish aaj aapko kuch Website related information dene jaa raha hoo.Aaj main aapko bataunga 5 main aisi Websites ke baarein main jisse aap khud ki Website ki quality Check kr sakenge aasani se .Yeh main khud use kiya rha hoo aur aapko bhi inhe use krna chahiye 

Apki Website Ki Quality Sudhare aisi Top 5 websites

1) Alexa ( www.Alexa.com)

  1. Dosto yeh Website aapki website ki world wide ranking se leke India ki ranking bhi detail main batati hain . 
  2. Yeh aapki website ke traffic chart batati hain matlab aapki website par day-month-year wise kitna traffic aa rha hain
  3. Aapki website ko kaise improve karna chahiye 
  4. Aapki websites main kya kami hain 
  5. Aapki website ka loading time kya hain 
  6.  kaise aap apni website ke traffic ko badhaye 
  7. Apka competitor kon se keyword pe rank kr rha hain
  8. Apki aur competitor ki website ka comparision
  9. Kon se keywords ko aap aasani se rank krwa skte hain 
  10. Aap apni website ka SEO kaise improve kr skte hain

Dosto aapko bata dena chahta hoon aapko isme 1 se 2 features free main milte hain aur Trial version bhi milta hain baaki features use krne ke liye aapko inki membership leni padti hain jo aapko niche screen shot diya hain usme dekh skate he ya unki website pe jake bhi dekh skte hain   

2) Website Grader (Website Grader)

Website Grader ek bahot hi badhiya website hain jisse aap apni website ka score check kr sakte hain jo aapko yeh sab details batati hain

  1. Overall details Website ke baarein main jisme aapka score bhi aapko batati hain 
  2.  Performance batati hain jisme yeh aapko Page Size ,Page Speed , Page requests, Browser caching, page redirects , compression , render blocking jaise aavashyak factors pe dhyan deti hain 
  3. Mobile Report deti hain jisme aapki website ka report se leke aapki website application friendly hain ya nahi yeh sab detail main batati hain aur pura report deti hain
  4. Seo ke baarein main full details jaise meta description , interlinking , Permalink , Headings , Sitemap jaise upyogi points cover krti hain 
  5. Security tips aapki website ke liye jaise kya loop holes hain SSL hain ya nahi , aur kaise website ko secure krna chahiye woh sab details main batati hain

Dosto bata du yeh aapko 30 days ka free trail deti hain jisme aap isko kaise use krna hain check kr skte hain , uske baad yeh aapse chahge leti hain     

Also Read: Blogger Par Ad Sense Approval Kaise Le?

3) Small Seo Tools ( Small Seo Tools)

Yeh website free checker  user ke liye Ram Ban dava ka kaam krti hain , yeh website aapko jo tools deti hain woh kuch is prakaar hain   Main Tools

  1.  Plagiarism Checker
  2.  Article Rewriter
  3.  Keyword Position Checker
  4.  Domain Authority Checker
  5.  Backlink Checker
  6.  Website SEO Score Checker
  7.  Reverse Image Search
  8.  Word Counter

                              Extra Tools  

    Dosto Apko bata du yeh nisulk hain aur zyadatar website owner iska jam ke use krte hain   

4) Seo checker Pro (Site Checker Pro)

Dosto yeh website ek dum mast wesite hain aapki website ki kamiyo se leke acchai pata krne ke liye main iska bahot use krta hoon. Aur yeh jo details deti hain bahot zabardast details deti hain.

And, agar aap new hain website world main to iska jaroor kijiye yeh aapki website ko bahot fayda pohchyegi. To bas isme aap sign up krlijiye aur apni website ki ssari detials check kjiye aaram se   

  1. website audit
  2. website monitoring
  3. Live seo check 

yeh bhi kuch time ke baad aapse charge leti hain lekin yeh abhi nayi hain market main to thoda zyada time aap ise use kr sakoge baad main aapko small seo tools ko use krne ki salah dunga    

5) Seo Site Check Up ( SEO SITE CHECK UP)

Yeh website bhi wahi kaam krti hain jo upar wali sesh website kaam krti hain. But yeh website chutkiyo main aapki website ka details aapki aankhon ke samne laake rakh deti hain.

Ise bhi maine use krna shuru kiya hain aur yeh website bahot zyada accurate result deti hai. Baaki sabhi uprokt 4 website ki tarha , aap ise bindas use kr skte hain aur iske features lajawab hain.

Iske features main likh nahi raha hoo kyuki 4 darjan se zyada features hain woh bhi bilkul free. To aap khud website pe visit krke apni website ka url dale aur check krle , phir bhi iska screenshot daal rha hu aap niche dekh le kuch features 

NOTE : AHREF AUR SEMRUSH BHI BAHOT ACCHI WEBSITES HAIN LEKIN WOH PAID TOOLS HAIN AUR KAAFI COSTLY HAIN ISLIYE MAINE UNKA VARNAN NAHI KIYA YAHA PAR   

To dosto agar aapko yeh article Top 5 Websites to Check Quality Score Of Any Website accha laga to jyada se jyada share kijiye aur koi kami lagi ho to apne bhai ko bataiye jarur usko sudhara jayega.           

Exit mobile version