Site icon Tech Tips Manish

Whats App Status Facebook Par Kaise Share Kare?

Namaskaar Dosto, aapko pata hi hoga Whats App ka naya feature aa gaya hai. Is feature ki khasiyat yeh hai, aap apna whats App ka status Facebook par share kar sakte ho. Whats App Status Facebook Par Kaise Share Kare?

Facebook ne whats App ko kharid liya hai, aur ab facebook apne sabhi platforms jaise messenger, Instagram aur Whats App ko ek dusre se jod dena chahta hai.Isme naya Facebook ne yeh kiya hai, ki ab aap apna WhatsApp ka status directly share kar paoge. Iske liye Whats App me jab bhi aap koi status upload karte hain, aap dekh payenge, share to facebook ka option ab aapko dikhayi dega.

Whats App Status Facebook Par Kaise Share Kare

Requirements:

Aapke paas ek android phone ya Iphone hona aawashyak hai.

Whats App ka latest version phone me hona jaruri hai.

Facebook ki application phone main honi chahiye aur woh bhi login honi chahiye.

ALSO READ: 5 BEST FREE BLOGGER TEMPLATES

Whats App Status Facebook Par Kaise Share Kare?

Bahot Simple Hain Ab aapko sabse pehle whats App par new status daal dena hai, status dalne ke baad aap – niche ki or Share to Facebook ka link dekh payenge. Ab aapko us link pe click karke directly Whats App status ko facebook pe share kar dena hai. Iske liye upar di gayi requirements ka khayal aapko rakhna hai.

Jaise hi aap 3 dot wale option pe click karenge, Whats App ki application Facebook ki anumati mangega. Issey yeh hoga aapko rights de dene hai aur ho gaya aapka kaam.

iPhone Users ko bhi aapka phone Facebook se anumati mangega aur aapko yes karke 3 dots wale option ke through share kar dena hai.

Exit mobile version