Blog Post Ki URL Ko Google Main Index Kaise Karwaye?

Estimated read time 3 min read

Dosto, aaj is blog main aap sikhenge, Blog post URL ko index kaise karwaye. Blogging ke liye humne website bana li, blog bana liya. Ab hum apne website pe ek se ek behtarin blog likhna bhi shuru kar diye. Lekin hota kya hai Google ka crawler hamari website ya phir blog ko crawl nahi karta. Kitni baar mahino tak aapki post index nahi ho paati aur search results main nahi dikh paati to, ab hum tention main aa jaate hai. Dosto, aise main ghabrane ki koi jarurat nahi hai, kyuki ek din main lakhon website banti hain poori duniya mai, aur google kayi websites ke pages ko index nahi kar paata hai, kyuki woh dusri websites ko crawl karke index karne main vyast hota hain. Ab hum sochne lagte hain, kahi humse koi galti to nahi ho gayi. Lekin aisa bilkul nahi hai dosto. Chaliye jante hain aisa kyu hota hai.

Google Bot meri website ko Index ya read nahi kar raha hai?

Iska ek mukhya karan yeh hota hai, dosto , ya to aapki website nayi hoti hai, ya aapki website enough content nahi hota hai. Kayi baar aisa bhi hota hain, google bot 3-4 baar aapki website pe visit karta he data scan ke liye lekin usey kuch naya nahi milta wahi purana already indexed posts ya material milta hain, to woh chod ke chala jaata hai aur long time se update na milne ke karan woh sochta he yeh website pe naya kuch nahi to isko side me rakhdo. Isiliye woh dusri websites jo regular update hoti he unko prathmikta deta hai.

Yeh Bhi Padhe: 5 Best Blogger Template For AdSense Friendly In Hindi

Google Main Posts Index Kaise Karwate Hai?

Ganit bahot simple hai, dosto, ab Google ka new search console aa chuka hain, jo niche diye gaye photo ke hisaab se dikhta hai. Aap step by step sikh lijiye kaise index karwana he newly written posts ko. Main aap se anugrah karta hu yeh process aap baarambaar na kare. Iska istemaal aap google ko batane ke liye kijiye ki Google Bot Sahaab aap aayi ye meri website ke athithi banaiye aur kucch data jo maine naya likha he usey le jaiye. Aisa karne par Google Crawler ya Google bot ko aapki website se sandesh milta he , ki aap website pe niyamit update karte hai.

#1 Apni Post Ki URL copy kare

Sabse pehle jo bhi post aapne likhi hai, uski post ki URL ko aapko copy karna hain, copy karne ke liye, address baar me jake poori URL copy karle, jaise niche photo main diya gaya hai.

Image A

#2 Ab Url Ko Google Search Console Main Feed kare Aur Search Button par Click kare

Ab dusra kaam aapko yeh karna hain, jo blog post aapne likhi hain, uske url ko feed karna hai ya insert karna hain khali dabbe main main jaise niche image main diya gaya hain.

Image B

Blog Post URL Ko Google Main Index Kaise Karwaye?

Image C

Blog Post URL Ko Google Main Index Kaise Karwaye?

#3 Ab aapko search button pe click karna hain

Jaise maine upar diya hain, waise kare image ki url ko dabbe main daal de aur ab search button par click kar de, isse aapki url ko google ka crawler padhna shuru kar dega. Jyada samajhne ke liye niche dekhe image ko.

Image D

Blog Post URL Ko Google Main Index Kaise Karwaye?

Image E

Blog Post URL Ko Google Main Index Kaise Karwaye?

Image F

Blog Post URL Ko Google Main Index Kaise Karwaye?

Saransh:

Jaise maine aapko image wise samjhaya hain, bas aap yeh steps follow kare, aur aapki blog post URL google main 10 se 15 minute main show hona shuru ho jayegi aur google main index ho jayegi aur agar aapki post acchi rahi to woh google 1st page par bhi show hona shuru ho jayegi. Dhanyawaad…

ManS http://techtipsmanish.com

Hi! My name is Manish and I am a blogger. I founded Tech Tips Manish in 2018 initially to share about tech, sports, you tube, cricket, games, entertainment, blogging, wiki, places, finance when the journey of this blog started.

Apart from continuing providing the information of the topics like technology, blog, seo, online money, etc., I wanted to reach the average person who was looking to better their lives and which can be done using the latest technology.