CAPTCHA – reCAPTCHA In Hindi (Updated 2023)

Estimated read time 3 min read

CAPTCHA ka full form Hota Hain Completely Automated Public Turing test to tell Computers and Humans Apart. Dosto CAPTCHA ka full form apko pata Chal Gaya Gaye moreover detail main Jante Hain iske uses. Aapne website dekhi hogi ya pages kholne se Pehle yeh aapko dikhai deta hain.

What Is CAPTCHA? 

Dosto CAPTCHA ka use isliye kiya jaata hain kyuki hum bots aur spamming ko rok sake . Asli manav(Human) aur robots ke bich difference karne ke liye ek script hain jo Kucch companies develop karti hain apne clients ke liye.

Dosto Bahot Saari Companies spamming karti hain , automated bots aur hacking ke liye , jaise ki email hacking , website hacking aur spam comments , jo aap aksar dekhte hain apne control panel main.

Isey Human verification ke liye use kiya jaata hain , jisse ki aap unlimited email ids na bana sake, aapko phone verification krna padta hain woh CAPTCHA ke tahat hota hain.

CAPTCHA Development:

Dosto 2003 main CAPTCHA develop hua tha , jisme sab se pehle  kathin words aur sound ka use kiya Gaya jo computer technology ke liye padhna bahot muskil hain.

Hackers aur logo Computer script bana ke internet ka galat use kr rhe the jise rokne ke liye CAPTCHA ko aisa banaya gaya jisse Insan Padh Aur Sun sake

Advanced Version Of CAPTCHA – reCAPTCHA

reCAPTCHA ko  Luis von Ahn, David Abraham, Manuel Blum, Michael Crawford, Ben Maurer, Colin McMillen, and Edison Tan ne banaya tha aur yeh wahi log hain jinhone CAPTCHA banaya tha

Isko banana ke Liye Saari books ko computer dwara scan Kiya Gaya aur Computer dwara jo words Nahi padhe jaa sake use reCAPTCHA main use Kiya Gaya Aur yeh words ko bahot tedhe mede tariqa se dikhaye jaate the jo computer machine ke Liye padhna muskil tha . Yeh kaafi accha version tha CAPTCHA ka

Google Ne reCaptcha Ko Kharid Liya 

Ji Friends Google ne reCAPTCHA ko kharid liya 2009 ke saal main. Google ke alawa personal companies launch ho Gayi jaha employees bitha diye the reCAPTCHA bharwane ke liye aur usse paise banaye.

Google Ne Launch Kiya ” I AM NOT ROBOT” 

Isko launch krne ka maqsad tha saare local companies jo iska fayda utha rhi thi market se saaf kar diya aur yeh kucch aisa tha aapko  ” I AM NOT ROBOT” pe tick krna hain , agar Green Right Click aati hain to aap website pe visit kar paoge

Jaise hi aap click karoge aapke IP address se leke , area code se leke sari information google ke paas pahoch jaati hain , isme koi bhi google ko bewkoof nahi bana sakta

Isme Abhi Google ne images ka Option diya hain jisme aap jab tak Google ki batayi huyi sahi images nahi bharoge to woh verify nahi ho payega, sidha matlab hain koi hacker ya spammer google ko bewfkoof nahi bana sakega

Ab to time aisa hain dosto ki bahot saari companies isey use kar rahi hain

Conclusion:

CAPTCHA, reCAPTCHA aur bahot sare isi tarah ke security scripts companies run karti hain aur kyu na kare bahot saare spammers, hackers, bots ko rokne ka yeh bahot accha tariqa bhi hain .Bhavishya main hamein aise aur bahot saare new technology dekhne ko milenge jiski information main laata rahunga.

ManS http://techtipsmanish.com

Hi! My name is Manish and I am a blogger. I founded Tech Tips Manish in 2018 initially to share about tech, sports, you tube, cricket, games, entertainment, blogging, wiki, places, finance when the journey of this blog started.

Apart from continuing providing the information of the topics like technology, blog, seo, online money, etc., I wanted to reach the average person who was looking to better their lives and which can be done using the latest technology.