EOT CRANE Kya Hota Hai? What Is EOT CRANE?

Estimated read time 5 min read

Dosto jab bhi hum crane work ke bare main sunte hai, hame ek hi khayal aata hai, CRANE pakshi ke bare main. Lekin Jaise Crane pakshi ka aakar lamba hota hai, woh machli ko apni choch se pick krleta hai, aur man chahe waha ud jaata he, apni pasandida cheez leke, isi prakaar manav ne, uski ke aakar se do prakaar ke crane bana diye, ek hota he Normal vehicle crane jo heavy machines ko uthane ke kaam aata hai. Aur dusra hota hain EOT CRANE. EOT CRANE ka matlab hota hain Electric Overhead Travelling Cranes.

Electric Se chalne wala jo aapke upar yane Terrace Chat ki doori pe fit kiya gaya crane, Jisse aap samaan ko ek jagha se lift krke dusri jagah pe aasani se rakh skte hai. EOT CRANE ka ek mukhya upyog industries main hota hai. Koi bhi manufacturing unit main iska use hota hain , yeh dosto alag alag type ke hote hai.

Also Read: Dream11 Winning Tips

Single Girder EOT CRANE Kya Hota hai? SIngle Girder EOT CRANE kya Hai? What Is Single Girder Eot Crane?

Dosto, yeh crane bahot jyada heavy items nahi utha pate hai, yeh medium size industrial components ko uthane ke kaam aata hai. Isko Single Girder EOT Crane isliye kaha jata hai, kyuki isme wire rope hoist jo saman ko leke ek jagah se dusri jagah le jate hai, woh niche ki taraf laga hota hain[ wire rope hoist on downward side]. 

Agar aap bahot jyada heavy machineries ka manufacturing nahi krte hain, matlab medium size ya light weight machine components ka use krte hai, to aapko SINGLE GIRDER EOT CRANE ki jarurat padti hai.

Double Girder EOT CRANE Kya Hota hai? Double Girder EOT CRANE kya hai? What Is Double Girder EOT CRANE?

Double Girder EOT CRANE ka use 12T se jyada bhari samaan ya machine components ko uthane main kiya jaata hain. Yeh crane main 2 bade powerful bar ke beech main se upar ki side wire rope hoist diya jaata hai. Aur jo pulley hain, woh niche ki aur upar se latka diya jaata he samaan uthane ke liye. Is crane mai, aap medium size se leke bhari samaan aasani se utha sakte hai.

Jib Crane Kya Hota hain? Jib Crane Kya hai? What Is Jib Crane?

Jib Crane ek aisa crane hota he jisme Khambe ko wall mount kar diya jaata hai, aur ulte ” L” ke aakar main fix kar diya jata hai. Aur ulte “L” ke bhaag pe wire rope hoist laga diya jata hai. Isme poora support diwal( WALL MOUNTED ) hota hai. yeh crane saman ke travel ko fast kr deta hai. Aur is crane ka use krke aap medium size components utha skte hai. Agar aap ek manufacturing unit he, to aapko iska use avashya karna chahiye, kyuki agar aap heavy items ke liye DOUBLE ya SINGLE girder ka use kar rhe he chote saman uthane ke liye , to JIB CRANE ka use krke aap gharshan (DEPRICIATION) kam kr skte hain aur aapke DOUBLE ya SINGLE Girder Crane ki LIFE badha skte hai.

Gantry Crane Kya Hota Hai? Gantry Crane Kya Hai? What is Gantry Crane?

Gantry Crane World main sabse jyada vajandaar items aur loads ko uthane ke kaam aata hai. Yeh Crane Mobile Crane ki tarah kaam karta hai. Yeh Crane Aaage Piche Jameen par pahiyo pe ghum skta hai. Is crane ko jyadatar Airport, Port jaha pe jahaj se samaan ki awa jahi hoti he waha use kiya jaata hai. Yeh Size main bada hota hai. lekin yeh EOT crane ki tarah hi saman uthane ke kaam aata hai, iska price bhi kaafi hota hai, again aap kitna size use karna chahte he uspe depend krta hai.

FAQS About EOT CRANE

#1 What Is The Price of EOT CRANE? EOT CRANE kitne ka padta hai?

Dosto, EOT Crane ki koi fix price nahi hoti, yeh depend karta hain, aapke factory unit premises aur uske shetra fal par. Yeh depend karta hai, aap jo machines components use krte he ukse weight par, yeh depend krta hai, aapka budget pe, aur bahot sare chote chote factors par.

#2 What are the parts used In EOT CRANE? Konse parts EOT Crane me use hote hai?

Again dosto, yeh aap jis party se crane purchase kar rhe, aap unse keh skte hain, mujhe is brand ki wire rope hoist, motors, etc use karna hai. Isme bhi quality alag alag aati he, aapka jaisa budget waisi quality ka part aapko milta hai.

#3 What is Working Principle Of EOT CRANE? Kaise kaam karta hai EOT CRANE?

EOT CRANE ka simple hisab kitab he , ek jagah se samna uthana aur dusri jagah rakh dena, ab isme chain pulley, wire rope hoist ke ilawa Overhead,aur undehead aapke saman ke weight ke hisab se aap crane lagwa sakte he, jo aapko upar acchi tarah se bataya gaya hai.

Conclusion:

Har ek machinery ka apna working style hota hai, aur crane bhi inme se alag nahi hai. Uprokt mention kiye gaye 4 crane types ka kaam samaan ko ek jagah se utha ke dusri jagah pe rakhne ka he, chahe phir woh industrial crane ho ya big projects cranes like Gantry cranes. Is blog main humne aapko bataya :Gantry Crane Kya Hota Hai? Gantry Crane Kya Hai? What is Gantry Crane? Jib Crane Kya Hota hain? Jib Crane Kya hai? What Is Jib Crane? Double Girder EOT CRANE Kya Hota hai? Double Girder EOT CRANE kya hai? What Is Double Girder EOT CRANE? Single Girder EOT CRANE Kya Hota hai? SIngle Girder EOT CRANE kya Hai? What Is Single Girder Eot Crane? , asha karte hain aapko sabhi sawalo ke jawaab mil gaye honge…

ManS http://techtipsmanish.com

Hi! My name is Manish and I am a blogger. I founded Tech Tips Manish in 2018 initially to share about tech, sports, you tube, cricket, games, entertainment, blogging, wiki, places, finance when the journey of this blog started.

Apart from continuing providing the information of the topics like technology, blog, seo, online money, etc., I wanted to reach the average person who was looking to better their lives and which can be done using the latest technology.