Five Best AdSense Friendly Blogger Templates In Hindi

Estimated read time 5 min read

Paisa kamana kise accha nahi lagta. Aur jab paisa blogger se kamane ki baat aati hain, to hum hamesha yehi sochte hain, free default theme acchi rahegi ya phir main koi premium theme use karoo. Aur naye bloggers ke liye yeh sawaal aur bhi kathin ho jaata hain, jab unhe adsense ka approval chahiye hota hain. Adsense ka approval bhi mil jaata hain, phir blogger sochta hai, ab aisi konsi themes use karoo jisse meri acchi income ho sake aur jo adsense friendly bhi ho. To aaj main aapke liye leke aaya hu Five Best AdSense Friendly Blogger Templates In Hindi. Yeh aapke sabhi sawalo ka jawaab dega aur aapko blogger platofrm se acchi khasi income karne main help karne wali free premium themes milegi.

List Of Five Best AdSense Friendly Blogger Templates In Hindi:

#1 Narrator Blogger Template

Narrator Blogger Template ek bahot hi acchi responsive adsense friendly blogger template hain. Isme aapko har tarah ke customisation dekhne ko milte hain. Yeh theme aapko free aur paid version main dekhne ko milti hain. Apko bas itna karna hain agar aap ek new blogger ho to 50-60 posts like aur iske free version ka istemaal kare. Aur isko customize kare acchi tarah se jisme aap breadcumbs , menus etc chize aasani se add kar skte hain aur adsense ka use karke accha khasa paisa kama sakte hain.

Download Karne Ke Liye: Click Here

#2 Zeek Blogger Template:

Zeek Blogger Template ek bahot acchi free blogger theme hain, jiska use karke aap apne blog ko na sirf look wise accha dikha payenge balki iska use karke aap adsense ke code ko acchi tarah se optimise kar sakenge aur man chahi jagah par place karke acchi khasi income kar sakenge. Yeh ek bahot shandaar theme hain, aap agar blogging main abhi kadam rakh rhe hain, to mera yeh sujhav hain, aap is theme ko jaroor use kare. Yeh theme aapke liye bahot acchi sabit hone wali hai.

Five Best AdSense Friendly Blogger Templates In Hindi
Five Best AdSense Friendly Blogger Templates In Hindi

Download Karne Ke Liye: Click Here

#3 Seo Mag Blogger Template

Seo Mag Blogger template ko kuch is tarah design kiya gaya hai, jisse aap apne blog post ka onpage Seo asani se kar sake. Isme bahot sare aise features hain jo aapke SEO pranali ko na sirf boost karta hain, balki aapke keywords ko acchi tarah se optimise karta hain. is theme ki khasiyat yeh hain, ki aap iska use Ads Ready mane adsense aur Seo ke liye acchi tarah se use kar sakte hain. Dosto, yaad rahe aapko is template ka use karna hain to pehle aap thoda seo ki basic tricks sikh le jo aapko dher sare blogger aur youtuber sikha rhe he. Yeh ek wonderful theme he bloggers ke liye jinhone abhi apna blog start up kiya hain.

AVASHYA PADHE: 5 BEST FREE NICHE BLOGGER TEMPLATE IN HINDI

Five Best AdSense Friendly Blogger Templates In Hindi
Five Best AdSense Friendly Blogger Templates In Hindi

Download Karne Ke Liye: Click Here

#4 Fastest Blogger Template

Jaisa ki iska naam hain fastest blogger template, waisa hi iska kaam hain, yeh template aapki website ki speed ko teji se badha deti hain. Yeh theme kuch kuch Genesis Framework jaisi theme hain, jo ki ek wordpress theme hain, main aap log se itna hi kehna chahunga , aap is theme ka use karke page load speed ke saath saath apni seo ko boost kar skte hain, kyuki aap log jante hi honge google ki seo pranali main ek cheez bahot important hain, woh hain aapki website ki page speed aur loading time, agar aapki website speed jyada hoti hain, to aapki website ka bounce rate bhi kam ho jaata hain, saath hi saath yeh jabardast adsense ads friendly blogger theme hain, aap iska use avasya kare.

Five Best AdSense Friendly Blogger Templates In Hindi

Download Karne Ke Liye: Click Here

#5 Top Result Blogger Template

Yeh ek bahot hi jyada beautiful blogger template hain. Is template ko dekh kar aapko lagega aap koi bhi dusri theme ka use na kare. Yeh theme na sirf dikhne main balki aapki website ya blog par adsense ke html code ko place karne main bharpur sahayak hain. Mera manna hain jo upar maine aapko 4 themes batayi hain, yeh theme in sabko takkar deti hain aur barabari main khadi rehti hain, aap agar blogging main naye hain, to aap aankh band karke is theme ka use kare, aap nirash nahi honge. Aap is par adsense ka code lagaye aur khub paisa kamaye.

Five Best AdSense Friendly Blogger Templates In Hindi
Five Best AdSense Friendly Blogger Templates In Hindi

Download Karne Ke Liye: Click Here

Saransh:

To Dosto, yeh thi meri Five Best AdSense Friendly Blogger Templates In Hindi. Main asha karta hu in blogger templates aur blogger free themes ka use karke aap acchi tariqi karenge blogging ki field main.Meri shubhkamnaye aapke saath hain. Aap khub mehnat kare aur in themes ka jyada se jyada benefit prapt kare. Dhanyawad !

ManS http://techtipsmanish.com

Hi! My name is Manish and I am a blogger. I founded Tech Tips Manish in 2018 initially to share about tech, sports, you tube, cricket, games, entertainment, blogging, wiki, places, finance when the journey of this blog started.

Apart from continuing providing the information of the topics like technology, blog, seo, online money, etc., I wanted to reach the average person who was looking to better their lives and which can be done using the latest technology.