Website Ko Google Search 1st Page Kaise Laye? [Updated]

Estimated read time 9 min read

Main Apni website KO Google ke 1st page par kaise la Sakta hoo. To aap chahte hain aapki website Google ke 1st page par dikhe lekin aap nahi jante kaise to main aap KO Kuch steps bataunga kya Krna he aur kaise Krna hain.To chalo aapko sikhata hoo step by step aap apni website ko Google Search 1st Page par kaise laaye

निमलिखित स्टेप फॉलो करे :

  • Kya aap jante he Google aur dusre search engine kaam kaise krte he kyuki yeh Jane Bina aap apna lakshya prapt Nahi kar payenge.Google aur dusre search engine ki gatividhi details main sikhe ,  Google ke swachalit computer  system ghadi ke aas pass 24 ghanta 24/7 Kam krte he Jo khud  se website par Jaye he aur pratyek page ke photo Lete he aur unhe bade pemane par Uske server database me feed krte he aur Google Search 1st Page me help krte he
  • Sab page ke photo Lene Ka matlab page ka important topic select krne ke liye ki system webpage jaise photo, video,audio files etc ka pratyek sabdh aur saari details KO parhti he। Google is collected data Ka use sabse best results dikhane ke liye krte hain, aur iske alawa kon se page par aur konse number par search ranking results main
  • Aisa khe to BHI thik hi hoga Google ke computer algorithm tej roop se nirdharit krta he ki internet par Konsa webpage kisi specific key ya word and sentence ke liye sabse important results dikhata he aur SERP ke results dikhate hain jo ki Google Search 1st Page ke results dikhata he

~Shuruvat ke 3-4 results ads hoti he jo ki google ki paid service hain

~Agar google yeh sochta hain ki google user  uske saher ya location se search kr rha he to phir google uske hisab se results dikhata hain

~Google ke center part main Seo results aate hain jo ki google ke keyword result show krta hain aur woh bhi center main dikhta hain results.

1st

sabse phle yeh decide kre ki apki website google se verify ki he ku nhi । yeh batane ke liye aapko yourdomain.com ko Google search box main type kre , aap yourdomain ki jgh khudka domain lagana he  yadi aap domain search ho rga ge , to Google ne aapke website to index kr diya he aur iski aap samay samay par checking krte rhe aur agar aapki website indexed nahi he to  : http://www.google.com/addurl। Google ko aapki website indexed krne main 1 se 2 week lagte hain.

2nd

dusra yaad rakhe Google keval un webpages ko pradarshit krega jo keyword aap search karenge । pehla kadam yeh nirdharit kare ki aap jo keyword search krte he woh question main hona chahiye

3rd

Teesri aisa nahi hain agar aapki website google search 1st page par nazar nahi aa rhi iska matlab aapki website indexed nahi huyi hain। parinaam dekhne ke liye aap 2nd page se next to next page aise 100ve page tak ko aur aagey wale page ko dekhne ke liye aagey click krte he.

E.g Meri website 5ve page par hain to usey Google Search 1st page par kaise leke aaya jaaye ?

Yeh tariqe azma ke aap 1st page par rank krwa skte hain

1st Tariqa:

Aapko apni website ko rank karne ke liye google adwords ko paise dene padenge

2nd Tariqa:

Aap Bina Paise diye bhi google main aap apne page ko rank karwa skte hain

Main Niche Dono Detail Main Samjhaunga

1st Tariqa Details Mein

  • Agar aap Apne kisi khaas keyword ko 1st page pain dikhana chahte hain to keyword ke paise matlab keyword ki costing ke hisaab se aap dikha sakte hain .Iske liye aap sabse pehle google adwords account main sign up kare aur Jo bhi keywords aap google par top results main show karna chahte hain unki pay per click price par boli lagaye aur jo keywords ki boli he woh ghat tee aur badhtee rahegi
  • Aap daily adwords budget set kr skte he jiske hisaab se aap tay kr skte hain kitni click hone ke baad ya budget over hone ke baad aapko website ka dikhna band karwana hain google ke 1st par , yeh aapke haath main jo aap control panel ke zariye se control kr skte he jiska control panel aapko google khud deta hain adwords panel ke roop main.
  • Kuch alag job profession ke liye jaise “Insurance” yeh kaafi mehnga keyword ho skta hain jaise 250 se 450 $ tak ho skta hain
  • Google advertisement se savdhan rhe kyuki agar aapko manage krna nahi aata to aap bekaar main apne paise barbaad kr skte hain jiske bahot sare karan ho skte he meri rai hain ki aap ek Google Adwords specialist ko dhund ljiye jo aapke liye campaign chala de aur aapko sahi margdarshan de sake aur matra 2000 rupees ke masik kharch par aapko zyada fayda pohcha skta hain aur agar aap trained nahi hain to please khud na use kare aap bahot jyada paisa lost kr skte hain..

2nd Tariqa Detail Mein

Is tariqe ko Organic result search ya SEO kaha jaata hain jismein aapko 1st par dikhne ke liye kaafi mehnat katni padti aur ismain aapko aapke keyword ko Google Search 1st Page par dikhane ke liye paise nahi dene padte sirf kadi mehnat karni padti hain.

website par jo bhi topic pr website par banaye usey dtail main likhe aur acche se content putup karey taki aapki website pe jo search krne aa rha hain unhe full details mil sake aasani se ,inbound link ki sankhya bhi rakhe yane dusri acchi websites jaise (www.quora.com) jaisi bahot saro website ko khud ke lekh main jagah de jisse aapko acchi backlinks mil paye aur google bot ko lage aap ki website aisi acchi websites se judi huyi hain aur jisse aapko google ka SERP mahatva de aur result main show kare

Mobile Friendly Website :

Website ko mobile par khoja jaa sake aur mobile ke screen ke hisaab se adjust kr sake aisa hona chahiye matlab Resposive website hona chahiye jisse aapko zyada se zyada log dhund ske kyuki ab zyadatar searches log mobile par krne lage hain

Page Load Speed :

 website ke pages ko jaldi se load ho sake aisa hona chahiye jisse aapki website se log vaapis na jaaye aur jo information ke liye aaye the usey padhe bina website se out na ho jaye , jisko bounce rate bhi kehte hain , bounce rate kam krne ke liye ,heavy images , video files jo load hone main time lagati hain unse door rehna chahiye..

Keywords 

Apne keywords ko Title, 1st paragraph, aur apne lekh main use karna Hain ,lekin itna Yaad rakhe keyword use krne par sentence Ka matlab Nikal na Chahiye Varna Google use keyword Stuffing samajh ke aapki website rank Nahi krega.Is mudde KO aapki khaas dhyan rakhna hoga

Domain Name Ka Sahi istemal:

Dhyan rakhna hoga aap Jo domain use kr rhe he Woh blacklist Nahi Hona Chahiye, Nahi pehle kisine use Kiya ho , Ho sake to Domain Name KO hamesha aap his subject or baren main website Bana rahe hain usi prakaar Ka rakhe yeh aapko keyword ranking krne main kaafi madad krega.

SSL Aur HTTPS : 

Aap APNI website KO HTTPS lagana na bhule ,kyuki yeh Aapke pages KO surakshit karta hain aur aapki website KO hack hone se bachata Hain aur SSL aapko security aur ranking BHI pradaan krta Hain. Security ke maap dand KO dekhte huye yeh dono uprokt cheezo Ka aapko bahot dhyan rakhna hoga

URL Ka Structure :

Jo URL aapki website KO darshati Hain usey simple hona Chahiye

E.g  https://www.mahabharata.com/Arjun

Honi chahiye

naaki https://www.mahabharata.com/index.php jaisi Nahi honi chahiye

Google Search 1st page par rank Karne ke liye aapko yeh Anya upay bhi krne hi honge

Google My Business

Business ko Google My Business se jode, Jo billkul nisulk Hain ,has aapko judna Hain Apne Gmail account se sign-up krne ke baad. Agar Aapka business local Hain to iska fayda apke business KO bahot zyada ho Sakta Hain , aur yeh Aapke organic SEO main BHI kaafi madad krega ,Google my business se ise kaafi help milegi aur Google Search 1st Page par lane me help kregi

Blog likhna Shuru Karen:

Blog likhne se Aapke business KO kaafi fayda pouchega , Uttam quality ke Blog likhe aur unhe is Tarah se likhe ki agar koi search kre to Aapke reader KO saari jankari Aapke blog se mil Jaye.

Blog niymit roop se likhe aur Google Search 1st Page par laye , aur agar aapko topic Nahi mil rha to soche aapko aapke business related konse sawaal jyada puche Jaye Hain ,uski uprokt suchi banaye aur in subjects par blog likhne Shuru krde.

Quality wali Back links prapt Kate:
  • Back link banani he acchi wali ,Mera matlab aapki website ki Jo link Hain usey ,dusri famous websites par post karna Hain, Uske liye pehle aapko high domain authority websites ke owner search permission Leni hogi , to Uske website pe free articles likhe regularly aur Kabhi Kabhi uski nazar Aapke kaam par padegi to Woh aapko back link Bana ne ki izazat de dega aur isse aapki website ki search rankings KO fayda aur views dono mileage aur Google Search 1st Page par laye .
  • Aur Jan Google Ka crawler data Lene ayega usey pata chalega aapki website KO high domain authority pr links mil Gayi he to aapko green signal mil Jayega SEO ke liye.
  • Hamesha Yaad Rakhna Google khud ke algorithm hamesha time time par change karta rehta Hain to usey billkul na bhule ki aap KO SEO ki process hamesha jaari rakhni hogi. Kyuki aapki competition jar ek keyword ke liye hazaro logo se hogi aur agar Aapka keyword rank kr rha Hain to us same keyword KO aap Baar Baar use na Karen varna aapki post google search 1st page par nahi ayegi

Dhanyavaad Dosto to aap logo ko yeh meri Di Gayi jankari Pasand aayi ho to isey share Karen , mujhe follow Karen main aapke liye technology se bharpur aur acchi information Lata rahunga.

ManS http://techtipsmanish.com

Hi! My name is Manish and I am a blogger. I founded Tech Tips Manish in 2018 initially to share about tech, sports, you tube, cricket, games, entertainment, blogging, wiki, places, finance when the journey of this blog started.

Apart from continuing providing the information of the topics like technology, blog, seo, online money, etc., I wanted to reach the average person who was looking to better their lives and which can be done using the latest technology.