Network Marketing Kya Hai?: Network Marketing Ke Fayde Aur Nuksaan

Estimated read time 4 min read

Namaskar, dosto kaise ho aap sab, asha karta hoo acche hi honge. Aaj main aapke liye jo topic leke aaya hu woh he NETWORK MARKETING. Is blog main aapko main bataunga, Network Marketing ke kuch behatarin funde, aur uske fayde aur nuksan. Hum log hamesha koi bhi chiz kharidne se pehle apne dosto, ya kisi janakar ki ray lete he. To phir kisi NETWORK MARKETING me judne se pehle hum aisa kyu na kare. To chaliye sankshept main jante hain “NETWORK MARKETING KYA HAI ?”.

Network Marketing ka Matlab?

Dosto, network marketing ka matlab hota hain, jab aap kisi product ya service ya kisi type ke skills ka prachar prasaar un logo se karte hain, jinhe aap jante hain, ya aap jodte hain, ya phir via via aap uska promotion, marketing aur sale karte hain. Bahot simple hain, kisi cheez ko agar aap bechna chahte hain, jiske liye aap different source use krte he jaise log, social media, friends group ya phir aapke followers to usey Network Marketing kaha jaata hain. Kucch log usey multi level marketing bhi kehte hain. Amway, vestige jaisi companies market main Network Marketing ka bahot acche se aur bahot saalo se istemaal kar rahi he.

Yeh bhi padhe: Paytm Payment Bank Fayde Nuksaan

Network Marketing Ke Fayde

  1. Aapka circle aur group bada banta hain.
  2. Aap adhik social ho jate hai, aapme se jhijhak nikal jaati he
  3. Agar aap iska istemaal kuch bechne ke liye kar rhe he to aap accha khasa paisa kama skte hain.
  4. Aapka confidence badh jaata hain.
  5. Aapka stage fear khatam ho jaata hain.
  6. Aap naye friends bana skte hain.
  7. Aapko sacche dost mil skte hain.
  8. Alag alag profession ke logo se mulaqat hoti hain.
  9. Logo ki skills ke bare main apko jankari hoti hai, aur aap apni jindagi me bada badlaav kr skte hain.
  10. Utsah ka level aasaman pe rehta hain, jo utsah aapko nokri nahi deti he woh aapko network marketing deti he.
  11. Nayi opportunities dastak deti hain.
  12. Network marketing aapki personality aur jivan ko ek nayi disha deti hain.

Network Marketing ke Nuksaan

  1. Agar aapne koi bekaar network join kar liya to, aapka time, money aur energy barbaad ho skta he.
  2. Acche ke saath saath kuch bure logo ki sangat aap kr skte hai, jaise koi sharaabi, kaabaabi aur kyi tarah ke vyasan palne wale insan se mulaqat aapke jivan ko barbaad kr skti he agar aap satark nahi rehte.
  3. Kayi network aapse joining fees leti he aur aisi kayi companies he baad main uth jaati he, to aapka paisa barbaad ho jaata he.
  4. Highest level prapt karne me aapko kaafi saal lag skte he. Kayi baar to aapko mehnat ka fal bahot kam milta he.
  5. Accha leader na milne par aap dishahin ho skte hain aur jis purpose se network marketing join kiya tha woh bekaar ho skta hain.
  6. Kuch network marketing companies sirf khud ke product aap par thop skti he, jaise har mahina aapko unke products kharidne padenge chahe woh acche na ho aur aapke paise ki barbadi hogi. Itna hi nahi aapko wohi products kisi dost bandhu ristedaar ya kisi ajnabi ko chipkane honge varna aapko ek dhela nahi milega.
  7. Ristedaar, dosti me daraar aa skti he, agar chahiye aisa result na mila product se aur uska kisi tarah ka allergic reaction ho gaya aapko
  8. Kayi log apni regular job chod de dete hain, aur aap apni sthyai income pe laat maar dete hain, aur itna hi nahi aap network marketing me bhi fail hone ke baad depression me jaa skte hain.

Saransh:

Jaisa ki aap sabhi log jante hain, har ek pase ke do pehlu hote hai. Network Marketing me agar aapne sahi tariqe se usko samajh ke kaam kiya to aap crore pati ban skte hain aur kaafi accha paisa kama skte hain. Wahi agar aap isme fail huye to aapko mooh ki khani pad skti hai aur aapki financial life patri se utar skti he. Meri salah aapse yehi he Network Marketing join krne se pehle acche se research karle. Baaki aapko kahavat to yaad hi hogi ” अब पछताए क्या होत जब चिड़िया चुग गयी खेत !”.

ManS http://techtipsmanish.com

Hi! My name is Manish and I am a blogger. I founded Tech Tips Manish in 2018 initially to share about tech, sports, you tube, cricket, games, entertainment, blogging, wiki, places, finance when the journey of this blog started.

Apart from continuing providing the information of the topics like technology, blog, seo, online money, etc., I wanted to reach the average person who was looking to better their lives and which can be done using the latest technology.