Paytm Se Credit Card Bill Ka Bhugtan kaise kare?

Estimated read time 4 min read

Namaskaar Deshvasiyo, aaj ka topic hai, Paytm se credit card bill ka bhugtan kaise kare , or using paytm credit card bill payment. How to pay credit card bill using paytm. Aajkal paytm ka chalan kuch zyada hi badh gaya hai. Aur kyu na ho use krne me aasan aur bahot saari facilities. Ab chaliye sikhte hain poori process step by step.

#1 Paytm App Khole Aur Paytm Bank Account Open Kare :

Sabse pehla step he aapko apne paytm  account me jaana hain aur sabse niche diye gaye option 【BANK KA SYMBOL 】 jaise ki image me darshaya gaya hai, waha pe click karna hai. Jaise hi aap click karenge aapko woh paytm bank accounts ke liye details dalne ko kahega aur aapko username aur password poochega, agar aapko yaad hain phir thik hai, lekin agar nahi yaad to aap apne registered mobile number pe OTP manga sakte hai. Ab aapko 4 aksar ka password ya pin generate karne ko kahega aur aapko Pin ya pass code generate krne ke baad usme login karna he aur aapko kuch niche di gayi image ke roop me dikhega, Ab aapko Add money ka option dikh rha hain upar ki side , waha jake aapko money add karna hai. Ab aapko poochega money kaha se add krna hai. Aapko Paytm Wallet ka option select krna hain, aur jitna amount aap add krna chahte hain, utna amount daal dena hain, lekin yaad rhe money transfer ki fees aapko paytm ko deni padegi , e.g agar aap ke paytm wallet me 500 rupees hain, to aap 450 kijiye ,aur usme se aapke 23 ya 24 rupees cut ho jayenge aur aapke Paytm bank me aayega around 425 rupees. In this way we complete the first step towards paytm credit card bill payment.

Paytm Se Credit Card Bill Ka Bhugtan kaise kare?

Niche Laal Binduo Wale Bank Option Pe Click Kare
Paytm Se Credit Card Bill Ka Bhugtan kaise kare?
Lal Binduo Wale Option Main Password Dale
Paytm Se Credit Card Bill Ka Bhugtan kaise kare?
Laal Binduo Wale Option Pe Click kare – ” Money Transfer”
Paytm Se Credit Card Bill Ka Bhugtan kaise kare?
Laal Binduo Main Saari Details Dale



#2  Paytm Payment Bank Use Karke UPI ke jariye bhugtan kare

Ab jo paisa aapke paytm payment bank me aa chuka hain, uska bhugtan karne ke liye ,aapke bank account chahe woh hdfc, icici, axis ya koi bhi sarkari bank account ho,sabse pehle apko Paytm payment bank mai upar ki side kuch option dikhenge , jisme scan, money transfer,add money, bhim Upi etc main se aapko MONEY TRANSFER OPTION ko select krna hai.Ab aapko apne bank account me paisa transfer karna hai usko add krna hoga jiske liye woh aapse aapka AC NUMBER, IFSC CODE , AUR BANK NAME daal dena hain aur , add krne ke baad  aapko usi bank ka  UPI id.

( PLEASE NOTE : AAPKO APNI BANK SE SAMPARK KRKE MOBILE APP SE LOGIN KRKE UPI ID GENERATE KRNA HOGA, AUR JO UPI ID GENERATE HOGA)

usey daal dena hai, aur jitna rupa aap transfer rna chahte hain, utna rupa aapko dal dena hain , aur kaise hi aap payment par click karenge, woh aapko ek request karega, aap apna paytm account se juda hua number dale aur jaise hi aap number daal dete he aapke mobile phone pe ek OTP ayega woh dalne ke baad proceed krna hai, aur aapko wahi pass code ya password daalne ko kahega jo aapne shuruvat me Paytm Payment Bank me login krne ke liye use kiya tha, woh dalke jaise hi aap click karenge aapke Bank Account main paise aa jayenge. In this way we complete 2nd step towards paytm credit card bill payment.

INSTAGRAM SE CRORES OF RUPEES KAISE KAMAYE? – HOW TO EARN MILLIONS OF DOLLARS FROM INSTAGRAM

#3 Apne Bank Account Main Aaye Paiso Se Direct Credit Card Ka Bhugtan Kare

Dosto, abhi tak koi direct method nahi hain ,jaha se aap direct paytm main se sidhe hi credit card ka bhugtan kar sake, iske liye pehle aapko apna Bank account add karna hoga aur jaise maine aapko STEP 1 AND STEP 2. me bataya waise follow karna hoga aur aapka kaam ho jayega. Steps ko aaram se follow kare aur jald baaji na kare, pehli baar aisa karne main aapko thoda time lagega ,lekin ek baar aap sikh gaye to yeh aasan ho jayega. Ab jis bank account se aap credit card bhugtan krna chahte hain , aap aaram se kar sakte he net banking athva UPI id ke jariye a paisa withdraw krke bhi aap ATM se deposit kr skte hain.

Saransh :-

Koi bhi kam is duniya main kathin nahi , sirf dekhne main kathin lagta hain, ek baar aap decide kar lete ho is kaam ko main karke hi rahunga , phir aapka rasta khud bhagwan bhi nahi rok sakte. Isi tarah se paytm se credit card ka payment karna dikhta bada jatil hai, leki. Agar aap ek ke baad ek steps follow krte chale jate hain, to yeh bahot aasan lagne lagta hain.

ManS http://techtipsmanish.com

Hi! My name is Manish and I am a blogger. I founded Tech Tips Manish in 2018 initially to share about tech, sports, you tube, cricket, games, entertainment, blogging, wiki, places, finance when the journey of this blog started.

Apart from continuing providing the information of the topics like technology, blog, seo, online money, etc., I wanted to reach the average person who was looking to better their lives and which can be done using the latest technology.