QR CODE Kya Hain?

Estimated read time 3 min read

Technology ka use kaafi badh chuka hain , aapko to pata hi hain bijli bill bharne se leke Khana Order karne tak liye hum Internet ka use kar rhe hain. Ab yeh sab banaya jaa rha hain taaki Insaan apna time bacha sake aur kam samay main zyada output de sake. QR CODE (QUICK RESPONSE CODE) aur kucch nahi ek nayi technology hain jisse hamara kaam aasaan ho rha hain.

QR CODE ek open Source technology hain jiska use lagbhag har cheez main ho rha Hain , jisse aap heavy se heavy information ko encode kar sakte ho jaise wifi password , website ka url , images, text information , documents etc saari cheeze aap store kar skte ho aur jab aapko woh information chahiye apne mobile ke scanner ya normal scanner se scan krke paa sakte ho.

What IS QR CODE And How It’s Beneficial?

QR CODE , QR CODE in hindi , QR CODE explained
QR CODE Kya Hai : QR CODE Explained In Hindi

Most Importantly aapko samajhna hoga isko use kyu badhta jaa rha hain. QR CODE or QUICK RESPONSE CODE ka use bharat main PAYTM , BHIM APP aur sabhi badi retail Items main QR CODE ka use ho rha hain. 

Jab Aap koi naya Electronics Products kharidi krte hain , tab uske piche ek sticker chipka rehta hain , lagbhag har ek cheez pain hota hain , jisse ki aap uska serial number se leke , model number aur us product ki saari information encode , encrypt ya chupi rehti hain. Jaise hi aap scan karoge aapko saari information seconds main nikal sakoge.

GAMING ke Liye

Agar Aap Online Game Purchase krte hain to aapko QR CODE ke roop main companies Registration Serial Key aapko mail pe bhejti hain aur use aap apne registered mobile number aur mail ID se hi access kar payenge

Note: Besides Products Aap apni website , App se leke sabhi information QR CODE main convert kar sakte hain 

Agar Aap Kisi Company ke Owner hain , to aap visiting card touse karte hi honge, to isme aap kya kar skte ho , aap ke companies ka brochure aap ko har kisi ko dene ki jarurat nahi hain, aap bas apki company ke brochure ko QR CODE main convert kar dena hain aur Visiting Card main chap wa deni hain.

Agar aapko QR CODE free main banana chahte hain to yeh Website pe jaake aap normal QR CODE bana sakte hain 

WEBSITE HERE : https://www.qrcode-monkey.com/

AUTHOR DWARA KUCCH AUR  MAHATVAPURNA POSTS NICHE PADHIYE

Jo QR CODE aap create kar rhe ho usey aap Visiting Card, T-Shirts , Wallets aur bahot saari cheezo pe use kar sakte ho.

Cryptocurrency ko ek exchange portal se dusre excange portal par transfer krne ke liye bhi iska ka use ho rhe hain

E.g Binance , Coinbase , Koinex etc..

Final Words :

Technology ka use to duniya dhadalle se kar rhi hain lekin iska use krke duniya main bahot saari cheeze aisi ho rhi hain jiska use governments , educational institutions aur kayi saari detective agencies kr rhi hain .To aap bhi isko sikhiye aur iska use kucch acche kam ke liye kar sakte hain.

Technology ko jald sikh lijiye aur zyada se iska use kijiye apna time aur paisa bachaye …

Thanks

Tech Tips Manish

ManS http://techtipsmanish.com

Hi! My name is Manish and I am a blogger. I founded Tech Tips Manish in 2018 initially to share about tech, sports, you tube, cricket, games, entertainment, blogging, wiki, places, finance when the journey of this blog started.

Apart from continuing providing the information of the topics like technology, blog, seo, online money, etc., I wanted to reach the average person who was looking to better their lives and which can be done using the latest technology.