Technology Aur Insaan Ek Dusre ke Dost Ya Dushman?

Estimated read time 3 min read

Dosto kaise ho aap log. Aaj ek vishay pe baat krna chahta hu. Vishay hain technology aur insaan kya hain ek dusre ke dost ya phir dushman. Hum sab jis jamane main jee rahe hain, woh ek anokha technology yug hain. Lightbill bharne se leke Khana order karna sab aapke haath main de diya gaya hain.

Main jab aaj se 14 -15 saal piche mud ke dekhta hu , mujhe viswaas nahi hota hum kaha the aur aaj kaha pahoch gaye hain. Pehle mobile smart phone nahi the, aur jab aaye to usmein itne avishkar huye ki jiski koyi had nahi.

Kya technology aur insaan ek dusre ke dost hain ya dushman. Yeh question main isliye pooch rha hu kyuki aaj jisko bhi dekho mobile main laga rehta hain. Jisko dekho woh PUBG game aur bahot sare android games khelne main laga hua hain.Mujhe samajh nahi aata kyu hum insan technolgy ke ghulam ban gaye hain.

Log pehel ek dusre se milte the , ghar jaate the saath main ghumte phirte the, lekin aaj sirf apne mobile main lage rehte hain.To dosto aaj is topic ko detail main discuss krke dekhte hain, ki kya technology insaan ki dushman hain ya phir dost.

Technology Dost Ya Dushman

#1 Technology Dost Hai:-

Technology ka use krke duniya nazdik aa gayi hain

Log ek dusre se baar kr sakte hain.

Ek dusre se baat kr sakte hain agar hamare snehi jan visesh main base hain ya dusre saher me base huye hain

Ghar bethe khana mangwa sakte hain

Girlfriend to bana hi sakte hai , yaha tak ki Online Shaadi kr sakte hain.

Khana banana sikh sakte hain.

Website banana sikh sakte hain

judo karate sikh sakte hain , jaise bahot sare steps sikh skte he.

Online ticket book kkr sakte hain .

Moreover, online kharidi kar sakte , vastuye jaise ki kapde, kitabe, kangi se leke haathi size chize order kr sakte hain.

Online pratiyogita main part leke inaam jit sakte hain.

Motivational video dekh ke khud ko prerit kr sakte hain.

Apna maal bech skte hain , chahe aap machine banate ho ya chahe aap kapde

Aur kya batau dosto list bahot lambi hain khatam hi nahi hoti.

TV DEKHNE KE FAYDE:- Click kar ke Padh Dale

#2 Technology Dushman hai

Aap data chura sakte hain jo acchi baat nahi.

Furthermore, aap kisi ka phone ki jankari chura sakte hain

Moreover, aap sirf online chatting krke time waste kr sakte hain

Aap online abhadra tippaniya kar sakte hain comments ke jariye

Aap kisi ko poke kr sakte hain jo acchi baat nahi.

Pubg aur kayi saari game khel ke time waste kr sakte hain.

Kisi pe bhi video reaction banake gussa dila sakte hain

Poore din cartoon dekh kar chote bacche padhai ko tilanajli de skte hain, mummy papa ko dhyan rakhna hoga

Filmy hero aur heroine banne ke chakkar main poore din acting krke youtube pe video daaal sakte hain, ho sakta hain aap ka yeh tariqa aapke parents ko accha na lage. Agar yeh aapka passion hain to hi isme aagey badhe varna padhai mai dhyan de.

Poore din films dekh ke time waste kr skte hai etc.

Saransh

Is duniya main har ek cheez balance main ki jaye to accha hoga, varna aapko dukh de sakti hain. Technology isse koi alag nahi hain. To dosto, technology aur insaan ka rishta ankoha hain, isse aapko fayda to bahot he lekin agar aapne iska sahi istemaal nahi kiya to nuksaan bhi bahot zyada hain.

ManS http://techtipsmanish.com

Hi! My name is Manish and I am a blogger. I founded Tech Tips Manish in 2018 initially to share about tech, sports, you tube, cricket, games, entertainment, blogging, wiki, places, finance when the journey of this blog started.

Apart from continuing providing the information of the topics like technology, blog, seo, online money, etc., I wanted to reach the average person who was looking to better their lives and which can be done using the latest technology.