Blogger (Blogspot) Par Adsense Approval Kaise Milega ?

Estimated read time 4 min read

Blogger Par AdSense Approval kaise le aaj sikhte hain step by step in hindi jisse aap use kr skenge aur paisa kama sakenge.Internet par bahot sare Videos aur Lekh already maujood hain ,lekin main jo aapko tariqa batane wala hoon usse aapka 100℅ Adsense Approved ho jayega

7 Steps For Adsense Approval On Blog Spot

Step 1: Domain Registration

Sabse pehla aur most important step hain Blogger main Adsense approval pane ke liye aapke paas apna domain hona bahot jaruri hain , aap Godaddy , Bigrock ya Blue host se Domain purchase kar sakte hain .

Dosto Domain hamesha aapke “Niche” ke hisaab se purchase kariyega , matlab aap dekh hi sakte hain mera Domain ” www.techtipsmanish.com ” hain aur meri Blogger website ki Channel ka naam bhi wahi hain aur yaha tak ki mere blogs technology ke baarein main hote hain , matlab “Tech” bhi saamil hain mere Domain Name main.

In Cheezo ka dhyan rakhte huye hi domain purchase kijiyega. Blogger main Adsense Approval jald pane ke liye domain kharid lijiye turant , arey abhi nahi pehle poora article padh lijiye …

Step 2 : Blogger Pages Banaye

Ab aapko Blogger main kucch bahot zyada important blogs panne banane honge ,pages ki list prakaar hain

1) Home Page
2) About Us Page
3) Privacy Policy Page
4) Disclaimer Page
5) Contact Us Page

  •  Home Page main aapke saare blog posts dikhayi denge
  •  About Us page aapke website ke information ke barein main hoga matlab aapka blog website kya material dega
  • Privacy Policy Page aur Disclaimer aapki Website ki sabhi terms and Conditions ke barein main hoga jo aapke blog reader ke liye hain jismein aapke copyright material ka use na kr skne se leke aapki website cookies, bahot saari details ke baarein main hoga aur aap Blogger Par AdSense Approval le payenge

Step 3: Blogger Post Content

Aapne Domain kharid liya acchi baat hain .Dosto bada aasan lagta hoga aapko bas blog hi to likhna hain aur main 20-25 blog likh dunga to Google Adsense Approval mil jayega , magar aisa nahi hain , aap jo post likh rahe ho usko sabse best likhna hain ,matlab Jo post aap likh rahe ho usmein us Topic ki saari detail honi chahiye ,aur jab usey padhe unhe badi aasani se samajh aa jaye aap kya samjhana chahte ho aur jab woh aapka blog post padhle usey aapke dusre blog post ka intezaar rahe.

Blog post content ko satik likhe aur har ek point ka zikar kare. Dosto sirf 10 Blogs likho detail main aur bahot acchi tarah se Title , Heading , SubHeading , Minor Heading , Normal text  ka use poore blog main likhe aur bahot acche se use kre ,jaise Post Ka Title hamesha “Heading ” main rakhe , Post ke Steps “Subheading ” , Aur Steps ke Ander jo Steps aatein hain jaise ~ 1-2-3 ya phir a) – b) – c) main istemaal karein aur Blogger Par AdSense Approval le ne ke liye yeh step foloow kre

Step 3 : Author Mention

Aapko apne barein main batana hoga ki aapka naam kya Hain ,aapki education , aapki hobbies , interests , aapki logo ko kya sikhane wale hain ,yeh bahot jaroori step hain aapke Blogger Par AdSense Approval dilwane ke liye, bhulke bhi isey mention karna na bhule   Yeh Bhi Padhe : Facebook Se Earning

Step 4 : Visitors kitne hone Chahiye Blog Par

Google hamesha se hi quality par kaam krta aaya hain aur woh sirf quality hi chahta hain , visitors se google ko itna pharak nahi padta , aap sirf blog likhte jaye aur quality dalte jaye visitors bhi aa hi jayenge ek din

Step 5 : Never Use Copied or Illegal Content

Sabse Zyada Mahatvpoorn samjhne wali cheez ,kabhi bhi yeh apne blogs par na dale jaise ki ” Drug Abuse , Adult Content ,topic aur Images ,Hacking , Casino , agar aapke blog main aisa kuch bhi aapne daala aapka blogger account bhi block ho jayega aur aapka adsense kabhi bhi approve nahi hoga

Step 6 : Copyright Material Na Daale

Kabhi Bhi apne blogger post main kisi ka bhi churaya hua content na daale kyunki woh agar Google detect kr leta hain to aapka adsense account approve nahi hoga , matlab images , articles aur videos apne blog posts se kabhi bhi na jode

Step 7 : Age Factor

Aapki Age agar 18 se niche hai to Adsense Aapko Approval nahi Dega isiliye agar aap apply kr rhe google adsense ke liye to is baat ka bahot jyada dhyan rakhna hoga dosto   Dosto Yeh 7 Steps Follow kar lijiye aap chahe koi si bhi language kar rahe ho jaise ” English -Hindi-Hinglish” aap ka adsense approvedho jayega ,bas yeh dhyan aapko rakhna hoga ki upar diye gaye sare points ko dhyan se palan karna hoga..  

ManS http://techtipsmanish.com

Hi! My name is Manish and I am a blogger. I founded Tech Tips Manish in 2018 initially to share about tech, sports, you tube, cricket, games, entertainment, blogging, wiki, places, finance when the journey of this blog started.

Apart from continuing providing the information of the topics like technology, blog, seo, online money, etc., I wanted to reach the average person who was looking to better their lives and which can be done using the latest technology.