Server Kya Hain Explained In Hindi?

Estimated read time 4 min read

Namaskar Dosto , aaj sikhenge Server Kya Hain aur yeh kaise kaam karta hain. Lekin isko jaane se pehle aapko jaana hoga Internet kya hain aur kaise kaam karta hain. Aap Internet chalate hain jisme website surfing ,live streaming, Youtube video dekhne se leke bahot sare kaam aap internet ka use krke hi poora kar pate hain

Internet Kya Hain?

Internet woh madhyam hain jo wires dwara poori duniya ko connect karta hain. Wires ka jaal samunder ke ander bichaya gaya hain , jo har country ko internet pradaan karta hain. Bina Internet nahi aap Google, Facebook ya kucch bhi Online kar payenge.

Internet ka matlab aap samjihye Jaise ” Inter” ka matlab Internal aur ” Net” matlab Jaal hota hain jo poori duniya ko jode rakhta hain.

Server Kya hain?

Servar ek aisa prakaar ka computer hain jo bahot high hardware setup hain , jo alag alag company ne apni services dene ke liye kharid ke setup kar diya hain .

Facebook , Google , Whatsapp, Godaddy, Amazon sabhi ke apne apne server hain. Iska kaam hain jab bhi aap kisi cheez ko search kare to Data Center main se uthake aapko woh data provide kana

In companies ke paas khud ki lease line setup hain , bahot hi mehenge costly setup data center bana rakhe hain , jisme generator , cooling system , etc chijo ka use ho rha hain

Google Jo ek mahakay company hain jisne apne servar poore world main setup kar rakhe hain . Jab bhi koi google main search karta hain to woh agar India se data requests kar rha hain to aapko turant nazdiki server se data mil jaaye

Isi Prakaar aap jab website hosting ke liye khud ka server purchase krte hain kyuki aapke paas itna time nahi aur paisa nahi aap itna costly setup khudke gharmein laga sake aur usko use kr sake, isliye aap Godaddy, Bluehost jaisi badi companies se kiraye pe server purchase krte hain..

Client Aur Server Ka Relation

Dosto hum client hain aur jab kisi bhi cheez ko search engines , facebook ya koi bhi choti se choti website ya app ko request bhejte ho , to jo data aapke samne aata hain woh hamein sarver hi pohchata hain. Isi prkaar ke alag alag servar duniya main available hain

Kitne Type Ke Server Hote Hain?

Proxy Server

Proxy Servar ek Client programme hain jaise ki web browser aur ek bahri server jo external hota hain ke beech requests ko filter karne, connect krne aur jaldi se jaldi request poori krne me madad krta hain

Virtual Server

Moreover , Yeh ek aisa sarver hain jaise Godaddy apne grahako ko deta hain , jisse har ek grahak apni website godaddy ke sarver par host kar sake aur woh ek tarah se us virtual server ke selected time ke lie malik hote hain , jitne time ke Liye unhone Godaddy ko paisa diya hain.

Iska ka total hardware Sirf kisi ek company ke paas hota hain jo alag alag website ko uski maliki deta hain uske costing ke hisaab se , jo 1 saal , 6 mahine se leke kuch bhi ho sakta hain.

Email Server

Us prakaar ka servar hota hain jiska use krke aap chutkiyo main mail bhej sakte ho , kuch companies email service provide krvati hain jisme aap ek mail ko bahot saare mail ids pe shoot kr sakte ho..

Also , Mail Server bhi Kayi prakaar ke hote hain jaise

a] IMAP b] SMTP c]POP3

Open Source Server /Software

Aise prakaar ka Original server hain jise users modify , redistribute , aur usey behtarin tariqe se manage kr skata hain , jisme user iski copy bana sakta hain , woh server ko kisi bhi personal kaam ke liye run kr skta hain.

Moreover, Agar koi user ise modify krke bechta hain to to uski royalty Original servar ke malik ko nahi milegi .

Web Server

Furthermore yeh Ek aisa server hain jo software chalane se leke user ko webistes, Pages , Images , videos , data sab use krne deta hain ek HTTPS protocal se anukulit krke

Likewise ,Internet Jo World Wide Web ke through chalta hain woh Web server ke through hi kaam krta hain..

Saransh:

For Instance, Agar aapko data ka len den aur surfing se leke uska use karna hain to Servar ke jariye hi aap kar payenge. Jiske ke Bina Internet bhi nahi chal skta hain. yeh kayi prakaar ke hote hain jaisa use vaisa server available he , aap chahe to use purchase bhi kr skte hain aur kuch free main bhi available hain.

ManS http://techtipsmanish.com

Hi! My name is Manish and I am a blogger. I founded Tech Tips Manish in 2018 initially to share about tech, sports, you tube, cricket, games, entertainment, blogging, wiki, places, finance when the journey of this blog started.

Apart from continuing providing the information of the topics like technology, blog, seo, online money, etc., I wanted to reach the average person who was looking to better their lives and which can be done using the latest technology.